bahaar aaye anaadil ne mil kharosh kiya | बहार आए अनादिल ने मिल ख़रोश किया

  - Bal Mukund Besabr

bahaar aaye anaadil ne mil kharosh kiya
badan mein khun ne suraahi mein may ne josh kiya

zahe zahe mere eemaan-o-deen ki main ne unhen
fida-e-farq-e-khum-o-paa-e-may-farosh kiya

naqaab munh se utha kar ye kis ne di awaaz
ki dafa'atan hama-tan mujh ko chashm-o-gosh kiya

nikal gaya tha lahu mere tan ka rone mein
raha tha jo koi qatra so gham ne nosh kiya

kalaam kyun na ho besabr mera mastaana
ki jaam hai khum-e-haafiz se main ne nosh kiya

बहार आए अनादिल ने मिल ख़रोश किया
बदन में ख़ूँ ने सुराही में मय ने जोश किया

ज़हे ज़हे मेरे ईमान-ओ-दीं कि मैं ने उन्हें
फ़िदा-ए-फ़र्क़-ए-ख़ुम-ओ-पा-ए-मय-फ़रोश किया

नक़ाब मुँह से उठा कर ये किस ने दी आवाज़
कि दफ़अ'तन हमा-तन मुझ को चश्म-ओ-गोश किया

निकल गया था लहू मेरे तन का रोने में
रहा था जो कोई क़तरा सो ग़म ने नोश किया

कलाम क्यों न हो 'बेसब्र' मेरा मस्ताना
कि जाम है ख़ुम-ए-हाफ़िज़ से मैं ने नोश किया

  - Bal Mukund Besabr

Hausla Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bal Mukund Besabr

As you were reading Shayari by Bal Mukund Besabr

Similar Writers

our suggestion based on Bal Mukund Besabr

Similar Moods

As you were reading Hausla Shayari Shayari