intiha zof ki hai saaf numayaan mujh se
ramq-e-jaan mein mera jism hai pinhaan mujh se
shor hai vo na wahan aur na yahan vo sunsaan
shehar veeraan hai aabaad biyaabaan mujh se
bas-ki mushkil ko samajh rakha hai main ne aasaan
mushkilein karte hain hal apne khud aasaan mujh se
daaman-e-dasht hai aur phir mera paa-e-wahshat
phir hua josh-e-junoon dast-o-garebaan mujh se
shab-e-tanhaai mein besabr b-qaul-e-'ghalib
saaya khurshed qayamat mein hai pinhaan mujh se
इंतिहा ज़ोफ़ की है साफ़ नुमायाँ मुझ से
रमक़-ए-जाँ में मिरा जिस्म है पिन्हाँ मुझ से
शोर है वो न वहाँ और न यहाँ वो सुनसान
शहर वीरान है आबाद बयाबाँ मुझ से
बस-कि मुश्किल को समझ रक्खा है मैं ने आसान
मुश्किलें करते हैं हल अपने ख़ुद आसाँ मुझ से
दामन-ए-दश्त है और फिर मिरा पा-ए-वहशत
फिर हुआ जोश-ए-जुनूँ दस्त-ओ-गरेबाँ मुझ से
शब-ए-तन्हाई में 'बेसब्र' ब-क़ौल-ए-'ग़ालिब'
साया ख़ुर्शेद क़यामत में है पिन्हाँ मुझ से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bal Mukund Besabr
our suggestion based on Bal Mukund Besabr
As you were reading Kamar Shayari Shayari