khwaab mein bhi na ye khayal hua | ख़्वाब में भी न ये ख़याल हुआ

  - Bal Mukund Besabr

khwaab mein bhi na ye khayal hua
ki mera yaar se visaal hua

zof se ab ye apna haal hua
ki bayaan zof ka muhaal hua

may-kashi ko haraam kehta hai
khoon-e-zaahid hamein halaal hua

hoon main paamaal misl-e-taaza nihaal
ho ke paida main kya nihaal hua

paanv pakda tha bahr-e-uzr-e-gunaah
is ko kuchh aur ehtimaal hua

ख़्वाब में भी न ये ख़याल हुआ
कि मिरा यार से विसाल हुआ

ज़ोफ़ से अब ये अपना हाल हुआ
कि बयाँ ज़ोफ़ का मुहाल हुआ

मय-कशी को हराम कहता है
ख़ून-ए-ज़ाहिद हमें हलाल हुआ

हूँ मैं पामाल मिस्ल-ए-ताज़ा निहाल
हो के पैदा मैं क्या निहाल हुआ

पाँव पकड़ा था बहर-ए-उज़्र-ए-गुनाह
इस को कुछ और एहतिमाल हुआ

  - Bal Mukund Besabr

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bal Mukund Besabr

As you were reading Shayari by Bal Mukund Besabr

Similar Writers

our suggestion based on Bal Mukund Besabr

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari