na gaya mar ke bhi nazaron mein samaana apna | न गया मर के भी नज़रों में समाना अपना

  - Bal Mukund Besabr

na gaya mar ke bhi nazaron mein samaana apna
gor ne mardum-e-deeda mujhe jaana apna

aise soyeinge shab-e-hijr ke jaage ik roz
hoga mahshar mein bhi dushwaar jagaana apna

mil ke dil us se mila ham se na phir wa-e-naseeb
nikla begaana vo ham ne jise jaana apna

din kahi raat kahi subh kahi shaam kahi
ho to batlaayein kahi thor-thikaana apna

tera ehsaan na bhooloonga kabhu shauq-e-jafa
kaam tha tera hi yaad us ko dilaana apna

न गया मर के भी नज़रों में समाना अपना
गोर ने मर्दुम-ए-दीदा मुझे जाना अपना

ऐसे सोएँगे शब-ए-हिज्र के जागे इक रोज़
होगा महशर में भी दुश्वार जगाना अपना

मिल के दिल उस से मिला हम से न फिर वा-ए-नसीब
निकला बेगाना वो हम ने जिसे जाना अपना

दिन कहीं रात कहीं सुब्ह कहीं शाम कहीं
हो तो बतलाएँ कहीं ठोर-ठिकाना अपना

तेरा एहसान न भूलूँगा कभू शौक़-ए-जफ़ा
काम था तेरा ही याद उस को दिलाना अपना

  - Bal Mukund Besabr

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bal Mukund Besabr

As you were reading Shayari by Bal Mukund Besabr

Similar Writers

our suggestion based on Bal Mukund Besabr

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari