tujh sa nahin jahaan mein khoon-rez doosra | तुझ सा नहीं जहान में ख़ूँ-रेज़ दूसरा

  - Bal Mukund Besabr

tujh sa nahin jahaan mein khoon-rez doosra
paida hua kahaan se tu changez doosra

seene mein mere hai jo dil-e-daagdaar ishq
ye shams doosra hai ye tabrez doosra

ghalib ko kyun zuhoori-e-saani na jaaniye
dilli ko kyun samjhiye na tarashez doosra

tera lab aur mera lab-e-jaam aur hai
hai ek pur-shakar namak-aamez doosra

तुझ सा नहीं जहान में ख़ूँ-रेज़ दूसरा
पैदा हुआ कहाँ से तू चंगेज़ दूसरा

सीने में मेरे है जो दिल-ए-दाग़दार इश्क़
ये शम्स दूसरा है ये तबरेज़ दूसरा

ग़ालिब को क्यों ज़ुहूरी-ए-सानी न जानिए
दिल्ली को क्यों समझिए न तरशेज़ दूसरा

तेरा लब और मेरा लब-ए-जाम और है
है एक पुर-शकर नमक-आमेज़ दूसरा

  - Bal Mukund Besabr

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bal Mukund Besabr

As you were reading Shayari by Bal Mukund Besabr

Similar Writers

our suggestion based on Bal Mukund Besabr

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari