ya sitam kar ya karam chahe so kar | या सितम कर या करम चाहे सो कर

  - Bal Mukund Besabr

ya sitam kar ya karam chahe so kar
chahte hain tujh ko ham chahe so kar

maar chahe chhod mujh ko jeete jee
main na chhodunga qadam chahe so kar

bazm mein mahroom mat rakh de mujhe
jaam-e-may ya jaam-e-sam chahe so kar

kufr ya islaam kuchh kar ikhtiyaar
ek hai dair-o-haram chahe so kar

maar khaaunga par aane ki yahan
main na khaaunga qasam chahe so kar

ab to main shikwa karunga ho so ho
naak mein aaya hai dam chahe so kar

ik ghazal to aur bhi besabr tu
is zameen mein kar raqam chahe so kar

या सितम कर या करम चाहे सो कर
चाहते हैं तुझ को हम चाहे सो कर

मार चाहे छोड़ मुझ को जीते जी
मैं न छोड़ूँगा क़दम चाहे सो कर

बज़्म में महरूम मत रख दे मुझे
जाम-ए-मय या जाम-ए-सम चाहे सो कर

कुफ़्र या इस्लाम कुछ कर इख़्तियार
एक है दैर-ओ-हरम चाहे सो कर

मार खाऊँगा पर आने की यहाँ
मैं न खाऊँगा क़सम चाहे सो कर

अब तो मैं शिकवा करूँगा हो सो हो
नाक में आया है दम चाहे सो कर

इक ग़ज़ल तो और भी 'बेसब्र' तू
इस ज़मीं में कर रक़म चाहे सो कर

  - Bal Mukund Besabr

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bal Mukund Besabr

As you were reading Shayari by Bal Mukund Besabr

Similar Writers

our suggestion based on Bal Mukund Besabr

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari