be-maaegi ka dard kabhi be-kasi ka dard | बे-माएगी का दर्द कभी बे-कसी का दर्द

  - Dharmesh bashar

be-maaegi ka dard kabhi be-kasi ka dard
majmua dard ka hai meri zindagi ka dard

phir aadmi ke hone ka maqsad hi kya hua
samjhe na aadmi hi agar aadmi ka dard

ham hain shab-e-firaq kii lazzat se aashna
ham jaante hain chaand ka aur chaandni ka dard

ik dard surkh-roo hai to ik dard roo-siyaah
ik teergi ka dard hai ik raushni ka dard

seene mein apne rakhta hai shaair sanbhaal ke
chahe kisi ka zakhm ho chahe kisi ka dard

chahe kahin bhi jaaun kahin bhi rahoon magar
rahne na dega chain se ye aagahi ka dard

ab hai isi ke dam se bashar raunaq-e-hayaat
aainaa-e-jamaal ka hai shaayari ka dard

बे-माएगी का दर्द कभी बे-कसी का दर्द
मजमूआ दर्द का है मिरी ज़िन्दगी का दर्द

फिर आदमी के होने का मक़्सद ही क्या हुआ
समझे न आदमी ही अगर आदमी का दर्द

हम हैं शब-ए-फ़िराक़ की लज़्ज़त से आश्ना
हम जानते हैं चाँद का और चाँदनी का दर्द

इक दर्द सुर्ख़-रू है तो इक दर्द रू-सियाह
इक तीरगी का दर्द है इक रौशनी का दर्द

सीने में अपने रखता है शाइर सँभाल के
चाहे किसी का ज़ख़्म हो चाहे किसी का दर्द

चाहे कहीं भी जाऊँ कहीं भी रहूँ मगर
रहने न देगा चैन से ये आगही का दर्द

अब है इसी के दम से 'बशर' रौनक़-ए-हयात
आईना-ए-जमाल का है शाइरी का दर्द

  - Dharmesh bashar

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari