kitne bhi raah mein hon khatra jaana chahiye | कितने भी राह में हों ख़तर जाना चाहिए

  - Dharmesh bashar

kitne bhi raah mein hon khatra jaana chahiye
ho jaaye jab zaroori safar jaana chahiye

manzil kii hai talab to bahaanon se kya garz
koii na hamsafar ho magar jaana chahiye

aise qadam uthao ki zanjeer toot jaaye
daar-o-rasan ko chaap se dar jaana chahiye

gulshan ke kaar-o-baar se fursat mile to phir
sehra mein bhi barae-safar jaana chahiye

kyunkar shikasta dil mein bhi saalim hai shakl-e-yaar
sheeshe kii tarah aks bikhar jaana chahiye

qaateel ko le raha hai jo apni panaah mein
ilzaam-e-qatl uske hi sar jaana chahiye

daaman bhi taar-taar hai sar bhi lahu-luhaan
dariya junoon ka ab to utar jaana chahiye

ai waqt tera kaam hai rahna ravaan magar
koii pukaar le to thehar jaana chahiye

dhalne lagi hai raat bhi taare bhi chhup gaye
ab to bashar ko laut ke ghar jaana chahiye

कितने भी राह में हों ख़तर जाना चाहिए
हो जाए जब ज़रूरी सफ़र जाना चाहिए

मंज़िल की है तलब तो बहानों से क्या ग़रज़
कोई न हमसफ़र हो मगर जाना चाहिए

ऐसे क़दम उठाओ कि ज़ंजीर टूट जाए
दार-ओ-रसन को चाप से डर जाना चाहिए

गुलशन के कार-ओ-बार से फ़ुर्सत मिले तो फिर
सहरा में भी बराए-सफ़र जाना चाहिए

क्यूँकर शिकस्ता दिल में भी सालिम है शक्ल-ए-यार
शीशे की तरह अक्स बिखर जाना चाहिए

क़ातिल को ले रहा है जो अपनी पनाह में
इल्ज़ाम-ए-क़त्ल उसके ही सर जाना चाहिए

दामन भी तार-तार है सर भी लहू-लुहान
दरिया जुनूँ का अब तो उतर जाना चाहिए

ऐ वक़्त तेरा काम है रहना रवाँ मगर
कोई पुकार ले तो ठहर जाना चाहिए

ढलने लगी है रात भी तारे भी छुप गए
अब तो 'बशर' को लौट के घर जाना चाहिए

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari