ehsaas ko alfaaz mein likhna ghazal hai | एहसास को अल्फ़ाज़ में लिखना ग़ज़ल है - Prit

ehsaas ko alfaaz mein likhna ghazal hai
dardon ki sabse aakhiri seema ghazal hai

vo seekh bachpan ki nahin bhooli ja sakti
ghutnon pe chalna aur gir padna ghazal hai

mandir ki moorat ho ya masjid mein azaan ho
eesa ka dar ho ya ho maykhaana ghazal hai

mehboob ki taarif ho maa ki muhabbat
bhaai behn ka roz hi ladna ghazal hai

kaaghaz pe apne dard likhna geet likhna
ve preet tera rona muskaana ghazal hai

एहसास को अल्फ़ाज़ में लिखना ग़ज़ल है
दर्दों की सबसे आख़िरी सीमा ग़ज़ल है

वो सीख बचपन की नहीं भूली जा सकती
घुटनों पे चलना और गिर पड़ना ग़ज़ल है

मंदिर की मूरत हो या मस्जिद में अज़ाँ हो
ईसा का दर हो या हो मयखाना ग़ज़ल है

महबूब की तारीफ़ हो माँ की मुहब्बत
भाई बहन का रोज़ ही लड़ना ग़ज़ल है

काग़ज़ पे अपने दर्द लिखना गीत लिखना
वे 'प्रीत' तेरा रोना मुस्काना ग़ज़ल है

- Prit
3 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prit

As you were reading Shayari by Prit

Similar Writers

our suggestion based on Prit

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari