aasafuddaula-e-marhoom ki tameer-e-kuhan | आसफ़ुद्दौला-ए-मरहूम की तामीर-ए-कुहन - Chakbast Brij Narayan

aasafuddaula-e-marhoom ki tameer-e-kuhan
jis ki san'at ka nahin safha-e-hasti pe jawaab
dekh sayyaah use raat ke sannaate mein
munh se apne mah-e-kaamil ne jab ulti ho naqaab
dar-o-deewar nazar aate hain kya saaf-o-subuk
sehar karti hai nigaahon pe ziya-e-mehtaab
yahi hota hai gumaan khaak se mas is ko nahin
hai sambhaale hue daaman mein hawa-e-shaadaab
yak-b-yak deeda-e-hairaan ko ye shak hota hai
dhal ke saanche mein zameen par utar aaya hai sahaab
be-khudi kahti hai aaya ye fazaa mein kyun kar
kisi ustaad musavvir ka hai ye jalwa-e-khwaab
ik ajab manzar-e-dil-geer nazar aata hai
door se aalam-e-tasveer nazar aata hai

आसफ़ुद्दौला-ए-मरहूम की तामीर-ए-कुहन
जिस की सनअ'त का नहीं सफ़्हा-ए-हस्ती पे जवाब
देख सय्याह उसे रात के सन्नाटे में
मुँह से अपने मह-ए-कामिल ने जब उल्टी हो नक़ाब
दर-ओ-दीवार नज़र आते हैं क्या साफ़-ओ-सुबुक
सहर करती है निगाहों पे ज़िया-ए-महताब
यही होता है गुमाँ ख़ाक से मस इस को नहीं
है सँभाले हुए दामन में हवा-ए-शादाब
यक-ब-यक दीदा-ए-हैराँ को ये शक होता है
ढल के साँचे में ज़मीं पर उतर आया है सहाब
बे-ख़ुदी कहती है आया ये फ़ज़ा में क्यूँ कर
किसी उस्ताद मुसव्विर का है ये जल्वा-ए-ख़्वाब
इक अजब मंज़र-ए-दिल-गीर नज़र आता है
दूर से आलम-ए-तस्वीर नज़र आता है

- Chakbast Brij Narayan
0 Likes

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chakbast Brij Narayan

As you were reading Shayari by Chakbast Brij Narayan

Similar Writers

our suggestion based on Chakbast Brij Narayan

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari