hijaab ban ke vo meri nazar mein rehta hai
mujhi se parda hai mere hi ghar mein rehta hai
kabhi kisi ka tajassus kabhi khud apni talash
ajeeb dil hai hamesha safar mein rehta hai
jise khayal se chhoote hue bhi darta hoon
ik aisa husn bhi meri nazar mein rehta hai
jise kisi se koi vaasta nahin hota
sukoon ke saath wahi apne ghar mein rehta hai
jis ek lamhe se sadiyaan badalti jaati hain
vo ek lamha musalsal safar mein rehta hai
tamaam shehar ko hai jis pe naaz ai jauhar
ik aisa shakhs hamaare nagar mein rehta hai
हिजाब बन के वो मेरी नज़र में रहता है
मुझी से पर्दा है मेरे ही घर में रहता है
कभी किसी का तजस्सुस कभी ख़ुद अपनी तलाश
अजीब दिल है हमेशा सफ़र में रहता है
जिसे ख़याल से छूते हुए भी डरता हूँ
इक ऐसा हुस्न भी मेरी नज़र में रहता है
जिसे किसी से कोई वास्ता नहीं होता
सुकूँ के साथ वही अपने घर में रहता है
जिस एक लम्हे से सदियाँ बदलती जाती हैं
वो एक लम्हा मुसलसल सफ़र में रहता है
तमाम शहर को है जिस पे नाज़ ऐ 'जौहर'
इक ऐसा शख़्स हमारे नगर में रहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
our suggestion based on Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
As you were reading Anjam Shayari Shayari