nok-e-meenaar pe atki hui kumari se bhala | नोक-ए-मीनार पे अटकी हुई कुमरी से भला

  - Chaudhary Mohammad Naeem

nok-e-meenaar pe atki hui kumari se bhala
kya pata khaak chala
aasmaan hadd-e-nazar hai ki kameen-gaah-e-raqeeb
mein bataata hoon magar apne sukhun beech mein hai
aasmaan ek kabootar hai ki jis ke khun ki
pyaas mein saikron uqaab uda karte hain
maut badkaar sharaabi hai padosi mera
roz darwaaze ke us paar jo gir jaata hai
zindagi ek chhachhundar hai ki jis ki bad-boo
boo-e-yusuf mein bhi hai giryaa-e-yaqoob mein bhi
ilm circus ke madari ke dehan ka shola
zaa'ika munh ka badlne ko bahut kaafi hai
aur mein ek haseen khwaab ki jis mein gum hai
khwaab dekhne waala vo kameen-gah ka raqeeb

नोक-ए-मीनार पे अटकी हुई कुमरी से भला
क्या पता ख़ाक चला
''आसमाँ हद्द-ए-नज़र है कि कमीं-गाह-ए-रक़ीब?''
में बताता हूँ मगर अपने सुख़न बीच में है
आसमाँ एक कबूतर है कि जिस के ख़ूँ की
प्यास में सैकड़ों उक़ाब उड़ा करते हैं
मौत बदकार शराबी है पड़ोसी मेरा
रोज़ दरवाज़े के उस पार जो गिर जाता है
ज़िंदगी एक छछूंदर है कि जिस की बद-बू
बू-ए-यूसुफ़ में भी है गिर्या-ए-याक़ूब में भी
इल्म सर्कस के मदारी के दहन का शोला
ज़ाइक़ा मुँह का बदलने को बहुत काफ़ी है
और में एक हसीं ख़्वाब कि जिस में गुम है
ख़्वाब देखने वाला वो कमीं-गह का रक़ीब

  - Chaudhary Mohammad Naeem

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Chaudhary Mohammad Naeem

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari