bahaar naam hai mausam ke rukh badlne ka | बहार नाम है मौसम के रुख़ बदलने का

  - dagh Niyazi

bahaar naam hai mausam ke rukh badlne ka
lo waqt aa gaya baagon mein aam falne ka

main haar maan chuka hoon khushamade kar ke
magar vo naam hi leta nahin pighalne ka

vo dagmaga ke bhi saabit-qadam hi rehta hai
hamein bhi us se hunar seekhna hai chalne ka

ajab nahin hai ki ruswaaiyaan hi haath aayein
sambhal bhi ja ki abhi waqt hai sambhalne ka

hateliyon pe sajaaye hain jaan parwaane
ab intizaar hai bas un ko sham'a jalne ka

har ek mod pe pahre bitha diye gaye daagh
koi bhi raasta baaki nahin nikalne ka

बहार नाम है मौसम के रुख़ बदलने का
लो वक़्त आ गया बाग़ों में आम फलने का

मैं हार मान चुका हूँ ख़ुशामदें कर के
मगर वो नाम ही लेता नहीं पिघलने का

वो डगमगा के भी साबित-क़दम ही रहता है
हमें भी उस से हुनर सीखना है चलने का

अजब नहीं है कि रुस्वाइयाँ ही हाथ आएँ
सँभल भी जा कि अभी वक़्त है सँभलने का

हथेलियों पे सजाए हैं जान परवाने
अब इंतिज़ार है बस उन को शम्अ' जलने का

हर एक मोड़ पे पहरे बिठा दिए गए 'दाग़'
कोई भी रास्ता बाक़ी नहीं निकलने का

  - dagh Niyazi

Haar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by dagh Niyazi

As you were reading Shayari by dagh Niyazi

Similar Writers

our suggestion based on dagh Niyazi

Similar Moods

As you were reading Haar Shayari Shayari