dil mubarak hon tujh ko gham us ke
hain karam ki tarah sitam us ke
jis ko achha lage na jaam-e-sifaal
haath mein de do jaam-e-jam us ke
raunqen badh gaeein mere ghar ki
hain mubarak bahut qadam us ke
vo hamein bhoolne laga shaayad
ab to aate hain khwaab kam us ke
sab ke sab la-jawaab baithe hain
hai sawaalon mein kitna dam us ke
ab vo likkhega bhook ki roodaad
haath mein aa gaya qalam us ke
us ne bakshe the daagh jo ham ko
hain salaamat vo saare gham us ke
दिल मुबारक हों तुझ को ग़म उस के
हैं करम की तरह सितम उस के
जिस को अच्छा लगे न जाम-ए-सिफ़ाल
हाथ में दे दो जाम-ए-जम उस के
रौनक़ें बढ़ गईं मिरे घर की
हैं मुबारक बहुत क़दम उस के
वो हमें भूलने लगा शायद
अब तो आते हैं ख़्वाब कम उस के
सब के सब ला-जवाब बैठे हैं
है सवालों में कितना दम उस के
अब वो लिक्खेगा भूक की रूदाद
हाथ में आ गया क़लम उस के
उस ने बख़्शे थे 'दाग़' जो हम को
हैं सलामत वो सारे ग़म उस के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by dagh Niyazi
our suggestion based on dagh Niyazi
As you were reading Zulm Shayari Shayari