dil yaad karke us ko pareshaan hai abhi | दिल याद करके उस को परेशान है अभी

  - dagh Niyazi

dil yaad karke us ko pareshaan hai abhi
lekin vo mere haal se anjaan hai abhi

ruksat vo jaane kab ka mere ghar se ho gaya
main dekhta hoon dil mein vo mehmaan hai abhi

main chaadar-e-sukoon bhala kaise odh luun
jab haadson ka shehar mein imkaan hai abhi

chhodenge ham na raah-e-wafa-o-khuloos ko
dekho hamaare haath mein quraan hai abhi

zulm-o-sitam vo had se siva kar sakega kya
har ik gareeb be-sar-o-saamaan hai abhi

ik ek qatra apne lahu ka bahaunga
tu aazma le tan mein mere jaan hai abhi

buniyaad tujh se zulm-o-sitam ki padi magar
mehr-o-wafa se daagh tu anjaan hai abhi

दिल याद करके उस को परेशान है अभी
लेकिन वो मेरे हाल से अंजान है अभी

रुख़्सत वो जाने कब का मिरे घर से हो गया
मैं देखता हूँ दिल में वो मेहमान है अभी

मैं चादर-ए-सुकून भला कैसे ओढ़ लूँ
जब हादसों का शहर में इम्कान है अभी

छोड़ेंगे हम न राह-ए-वफ़ा-ओ-ख़ुलूस को
देखो हमारे हाथ में क़ुरआन है अभी

ज़ुल्म-ओ-सितम वो हद से सिवा कर सकेगा क्या
हर इक ग़रीब बे-सर-ओ-सामान है अभी

इक एक क़तरा अपने लहू का बहाऊँगा
तू आज़मा ले तन में मिरे जान है अभी

बुनियाद तुझ से ज़ुल्म-ओ-सितम की पड़ी मगर
मेह्र-ओ-वफ़ा से 'दाग़' तू अंजान है अभी

  - dagh Niyazi

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by dagh Niyazi

As you were reading Shayari by dagh Niyazi

Similar Writers

our suggestion based on dagh Niyazi

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari