is chaman-zaar ko sehra na banaao yaaro
apne haathon se nasheeman na jalao yaaro
chot lagte hi bikhar jaayega aaina-e-dil
sang-dil mat bano patthar na uthao yaaro
us ne chaaha to liya kaam abaabeelon se
us ke darbaar mein sar apna jhukao yaaro
darj taarikh ke aoraq mein hona hai tumhein
is qadar khud ko na majboor banaao yaaro
azmat-e-khaak-e-watan par na kahi harf aaye
hai watan khatre mein ab hosh mein aao yaaro
mujh ko hai khauf ki aansu na baras jaayen kahi
sheesha-e-dil ko na tum thes lagao yaaro
doobe kashti na kahi daagh ke armaanon ki
bahr-e-jazbaat mein toofaan uthao yaaro
इस चमन-ज़ार को सहरा न बनाओ यारो
अपने हाथों से नशेमन न जलाओ यारो
चोट लगते ही बिखर जाएगा आईना-ए-दिल
संग-दिल मत बनो पत्थर न उठाओ यारो
उस ने चाहा तो लिया काम अबाबीलों से
उस के दरबार में सर अपना झुकाओ यारो
दर्ज तारीख़ के औराक़ में होना है तुम्हें
इस क़दर ख़ुद को न मजबूर बनाओ यारो
अज़्मत-ए-ख़ाक-ए-वतन पर न कहीं हर्फ़ आए
है वतन ख़तरे में अब होश में आओ यारो
मुझ को है ख़ौफ़ कि आँसू न बरस जाएँ कहीं
शीशा-ए-दिल को न तुम ठेस लगाओ यारो
डूबे कश्ती न कहीं 'दाग़' के अरमानों की
बहर-ए-जज़्बात में तूफ़ान उठाओ यारो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by dagh Niyazi
our suggestion based on dagh Niyazi
As you were reading Sad Shayari Shayari