takht-o-taaj aur na kuchh maal-o-zar chahiye
mujh ko to sirf us ki khabar chahiye
dhoop aangan se jaati nahin hai kabhi
saaye ke vaaste ik shajar chahiye
dar-b-dar thokren kha ke aaya hoon main
mere sar ko tira sang-e-dar chahiye
tod de jo qafas ki sabhi teeliyaan
mujh ko vo quwwat-e-baal-o-par chahiye
jin ki raatein guzarti hain zer-e-falak
un ko bhi shehar mein koi ghar chahiye
naqsh-e-gham jo mita de dil-e-zaar ka
daagh ko vo karam ki nazar chahiye
तख़्त-ओ-ताज और न कुछ माल-ओ-ज़र चाहिए
मुझ को तो सिर्फ़ उस की ख़बर चाहिए
धूप आँगन से जाती नहीं है कभी
साए के वास्ते इक शजर चाहिए
दर-ब-दर ठोकरें खा के आया हूँ मैं
मेरे सर को तिरा संग-ए-दर चाहिए
तोड़ दे जो क़फ़स की सभी तीलियाँ
मुझ को वो क़ुव्वत-ए-बाल-ओ-पर चाहिए
जिन की रातें गुज़रती हैं ज़ेर-ए-फ़लक
उन को भी शहर में कोई घर चाहिए
नक़्श-ए-ग़म जो मिटा दे दिल-ए-ज़ार का
'दाग़' को वो करम की नज़र चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by dagh Niyazi
our suggestion based on dagh Niyazi
As you were reading Akhbaar Shayari Shayari