tujh se ham-dam mujh ko ulfat hai bahut
teri ulfat vajh-e-raahat hai bahut
tum abhi to aaye ho mere qareeb
kis liye jaane ki ujlat hai bahut
soorat-e-parwaana mit jaaunga main
mujh mein mit jaane ki himmat hai bahut
tere rukh se maang laaye hain nikhaar
is liye phoolon mein rangat hai bahut
bastiyon mein aa gaye hain bhediyae
shehar mein har samt dahshat hai bahut
daagh baaki hai abhi kya barhmi
zulm ki mujh par jo shiddat hai bahut
तुझ से हम-दम मुझ को उल्फ़त है बहुत
तेरी उल्फ़त वज्ह-ए-राहत है बहुत
तुम अभी तो आए हो मेरे क़रीब
किस लिए जाने की उजलत है बहुत
सूरत-ए-परवाना मिट जाऊँगा मैं
मुझ में मिट जाने की हिम्मत है बहुत
तेरे रुख़ से माँग लाए हैं निखार
इस लिए फूलों में रंगत है बहुत
बस्तियों में आ गए हैं भेड़िये
शहर में हर सम्त दहशत है बहुत
'दाग़' बाक़ी है अभी क्या बरहमी
ज़ुल्म की मुझ पर जो शिद्दत है बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by dagh Niyazi
our suggestion based on dagh Niyazi
As you were reading Terrorism Shayari Shayari