vujood us se hamaara kahi juda na lage
vo saath saath rahe aur hamein pata na lage
vaqaar mein jo izafa hai aap ko manzoor
sambhal ke chaliye jahaan ki kahi hawa na lage
fareb-o-makr pe ina'am log paate hain
main baat sach bhi kahoon aur taaziyaana lage
hamaari zaat se pehle gurez tha us ko
ab aitiraaf-e-nawaazish use bura na lage
ilaahi tujh se guzarish hai baar baar yahi
mere sanam ko kisi ki bhi bad-dua na lage
jazeera dil ka hai soona tumhaari yaad baghair
chale bhi aao ki mausam bada suhaana lage
vo bhool saka hai ai daagh mujh ko jald magar
use bhulaane mein shaayad mujhe zamaana lage
वजूद उस से हमारा कहीं जुदा न लगे
वो साथ साथ रहे और हमें पता न लगे
वक़ार में जो इज़ाफ़ा है आप को मंज़ूर
सँभल के चलिए जहाँ की कहीं हवा न लगे
फ़रेब-ओ-मक्र पे इनआ'म लोग पाते हैं
मैं बात सच भी कहूँ और ताज़ियाना लगे
हमारी ज़ात से पहले गुरेज़ था उस को
अब ए'तिराफ़-ए-नवाज़िश उसे बुरा न लगे
इलाही तुझ से गुज़ारिश है बार बार यही
मिरे सनम को किसी की भी बद-दुआ' न लगे
जज़ीरा दिल का है सूना तुम्हारी याद बग़ैर
चले भी आओ कि मौसम बड़ा सुहाना लगे
वो भूल सकता है ऐ 'दाग़' मुझ को जल्द मगर
उसे भुलाने में शायद मुझे ज़माना लगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by dagh Niyazi
our suggestion based on dagh Niyazi
As you were reading Promise Shayari Shayari