zinda-dili nishaana-e-tahqeer kis liye
khinchti nahin hayaat ki tasveer kis liye
shaakh-e-shajar pe hoti to kuchh aur baat thi
maujon pe aashiyaane ki ta'aamir kis liye
kya tu ne pairvi-e-nabi chhod di hai ab
be-faiz ho gai tiri taqreer kis liye
ahl-e-shu'ur jo the vo pasti mein kho gaye
be-dhang log pa gaye tauqeer kis liye
toofaan ka khayal hai ya zalzale ka khauf
tere labon pe naalaa-e-shab-geer kis liye
mashhoor theen zamaane mein sheerin-bayaaniyaan
ab kho gai zabaan ki taaseer kis liye
ta-subh tu ne khwaab hi dekha na raat ko
phir poochta hai khwaab ki ta'beer kis liye
manzil hai daagh saamne apne qadam badhaao
tum dekhte ho jaanib-e-rah-geer kis liye
ज़िंदा-दिली निशाना-ए-तहक़ीर किस लिए
खिंचती नहीं हयात की तस्वीर किस लिए
शाख़-ए-शजर पे होती तो कुछ और बात थी
मौजों पे आशियाने की ता'मीर किस लिए
क्या तू ने पैरवी-ए-नबी छोड़ दी है अब
बे-फ़ैज़ हो गई तिरी तक़रीर किस लिए
अहल-ए-शुऊ'र जो थे वो पस्ती में खो गए
बे-ढंग लोग पा गए तौक़ीर किस लिए
तूफ़ान का ख़याल है या ज़लज़ले का ख़ौफ़
तेरे लबों पे नाला-ए-शब-गीर किस लिए
मशहूर थीं ज़माने में शीरीं-बयानीयाँ
अब खो गई ज़बान की तासीर किस लिए
ता-सुब्ह तू ने ख़्वाब ही देखा न रात को
फिर पूछता है ख़्वाब की ता'बीर किस लिए
मंज़िल है 'दाग़' सामने अपने क़दम बढ़ाओ
तुम देखते हो जानिब-ए-रह-गीर किस लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by dagh Niyazi
our suggestion based on dagh Niyazi
As you were reading Life Shayari Shayari