maahol munaasib ho to oopar nahin jaate
ham taaza ghutan chhod ke chat par nahin jaate
dekho mujhe ab meri jagah se na hilaana
phir tum mujhe tarteeb se rakh kar nahin jaate
badnaam hain sadiyon se hi kaanton ki wajah se
aadat se magar aaj bhi keekar nahin jaate
jis din se shikaari ne ada ki koi mannat
darbaar pe us din se kabootar nahin jaate
so tum mujhe hairat-zada aankhon se na dekho
kuchh log sambhal jaate hain sab mar nahin jaate
माहौल मुनासिब हो तो ऊपर नहीं जाते
हम ताज़ा घुटन छोड़ के छत पर नहीं जाते
देखो मुझे अब मेरी जगह से न हिलाना
फिर तुम मुझे तरतीब से रख कर नहीं जाते
बदनाम हैं सदियों से ही काँटों की वजह से
आदत से मगर आज भी कीकर नहीं जाते
जिस दिन से शिकारी ने अदा की कोई मन्नत
दरबार पे उस दिन से कबूतर नहीं जाते
सो तुम मुझे हैरत-ज़दा आँखों से न देखो
कुछ लोग सँभल जाते हैं सब मर नहीं जाते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Danish Naqwi
our suggestion based on Danish Naqwi
As you were reading Aadmi Shayari Shayari