mushkil din bhi aaye lekin farq na aaya yaari mein
ham ne poori jaan lagaaee us ki taabedaari mein
be-imaani karte to phir shaayad jeet ke aa jaate
chahe haar ke waapas aaye khele apni baari mein
meethe meethe hont hilaaye kadvi kadvi baatein ki
keekar aur gulaab lagaaya us ne ek kiyaari mein
teri jaanib uthne waali aankhon ka rukh mod liya
ham ne apne aib dikhaaye teri parda-daari mein
jaane ab vo kis ke saath nikalta hoga raaton ko
jaane kaun lagata hoga do ghante tayyaari mein
मुश्किल दिन भी आए लेकिन फ़र्क़ न आया यारी में
हम ने पूरी जान लगाई उस की ताबेदारी में
बे-ईमानी करते तो फिर शायद जीत के आ जाते
चाहे हार के वापस आए खेले अपनी बारी में
मीठे मीठे होंट हिलाए कड़वी कड़वी बातें की
कीकर और गुलाब लगाया उस ने एक कियारी में
तेरी जानिब उठने वाली आँखों का रुख़ मोड़ लिया
हम ने अपने ऐब दिखाए तेरी पर्दा-दारी में
जाने अब वो किस के साथ निकलता होगा रातों को
जाने कौन लगाता होगा दो घंटे तय्यारी में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Danish Naqwi
our suggestion based on Danish Naqwi
As you were reading Jeet Shayari Shayari