pyaase chehron par lagte hain khaali haath duaon ke
phir bhi kaun samajh saka hai dukh sukhe daryaon ke
jitni baar likha hai main ne tera naam darakhton par
tujh ko naam se jaante honge panchi mere gaav ke
apni marzi karne waale un ki baat nahin sunte
ham jaison par chal jaate hain saare zor khudaaon ke
tere haath mein khud ko de kar nadaani kar baitha hoon
dhoop ki god mein kab palte hain bete thandi chaanv ke
daanish-naqvi dekh rahe hain hairaani aur hasrat se
us ki apni do jheelein hain ham bande seharaaon ke
प्यासे चेहरों पर लगते हैं ख़ाली हाथ दुआओं के
फिर भी कौन समझ सकता है दुख सूखे दरियाओं के
जितनी बार लिखा है मैं ने तेरा नाम दरख़्तों पर
तुझ को नाम से जानते होंगे पंछी मेरे गाँव के
अपनी मर्ज़ी करने वाले उन की बात नहीं सुनते
हम जैसों पर चल जाते हैं सारे ज़ोर ख़ुदाओं के
तेरे हाथ में ख़ुद को दे कर नादानी कर बैठा हूँ
धूप की गोद में कब पलते हैं बेटे ठंडी छाँव के
दानिश-नक़वी' देख रहे हैं हैरानी और हसरत से
उस की अपनी दो झीलें हैं हम बंदे सहराओं के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Danish Naqwi
our suggestion based on Danish Naqwi
As you were reading Udas Shayari Shayari