vo kitni der khada sochta raha mujh ko | वो कितनी देर खड़ा सोचता रहा मुझ को

  - Danish Naqwi

vo kitni der khada sochta raha mujh ko
gale laga to pata bhi nahin chala mujh ko

na jaane main tere pahluu mein kaise baith gaya
meri jagah hi nahin hai abhi utha mujh ko

tire khayal se badh kar hai khaali-pan mera
kahaan kahaan se bharega tira khala mujh ko

vo mere saamne tauheen kar gaya meri
aur is pe ye ki bura bhi nahin laga mujh ko

main pehli baar hoon zer-e-mutala daanish
abhi kahi pe nishaan tak nahin laga mujh ko

वो कितनी देर खड़ा सोचता रहा मुझ को
गले लगा तो पता भी नहीं चला मुझ को

न जाने मैं तेरे पहलू में कैसे बैठ गया
मिरी जगह ही नहीं है अभी उठा मुझ को

तिरे ख़याल से बढ़ कर है ख़ाली-पन मेरा
कहाँ कहाँ से भरेगा तिरा ख़ला मुझ को

वो मेरे सामने तौहीन कर गया मेरी
और इस पे ये कि बुरा भी नहीं लगा मुझ को

मैं पहली बार हूँ ज़ेर-ए-मुताला 'दानिश'
अभी कहीं पे निशाँ तक नहीं लगा मुझ को

  - Danish Naqwi

Khyaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Danish Naqwi

As you were reading Shayari by Danish Naqwi

Similar Writers

our suggestion based on Danish Naqwi

Similar Moods

As you were reading Khyaal Shayari Shayari