qais ka tujh mein junoon jazba-e-mansoor nahin
warna manzil-gah-e-dildaar to kuchh door nahin
koh-o-waadi wahi bijli wahi be-hoshi bhi
jalwa lekin vo dil-afroz sar-e-toor nahin
dhoondhne jaaun kise jaaun to main jaaun kahaan
dil ke jo paas hai vo aankh bhi kuchh door nahin
fer mein zaat-o-sifat ke na saraaseema ho
nahin ma'aloom ki jauhar se arz door nahin
nazar aata nahin tujh ko to hai aankhon ka qusoor
aks se shakhs haqeeqat mein zara door nahin
jalwa-saamaan hai rah-e-ishq mein zarra zarra
sahib-e-zauq-e-nazar muntazir-e-toor nahin
amr-e-haq harf-e-azl hai to ye fatwe kaise
vo nayi baat nahin main koi mansoor nahin
jhooth sach us ko hai yaksaan vo hai apni dhun ka
haq-shanasi mere naqqaad ka dastoor nahin
kibr hi se to azaazeel hai shaitaan-e-rajeem
aadmi hai wahi insaan jo maghroor nahin
kya tamasha hai liye jaate hain taqdeer ka naam
aur tadbeer se ik lahza bhi ma'zoor nahin
nahin taqdeer ki tahreer se inkaar magar
is mein tadbeer muqaddar hai jo mazkoor nahin
aap taqdeer sudhar jaayegi tadbeer to kar
kaun kehta hai ki insaan ko maqdoor nahin
tu awaariz se awaariz ki hai tujh se parwaaz
tu jo mutlaq nahin mukhtar to majboor nahin
zarre zarre ko hai ik farz wadi'at haq se
na samajh to koi qaisar nahin faghfoor nahin
kaargaah-e-amal is dehr ko vo samjhe hain
gul-o-bulbul ke karishmon se jo maatur nahin
kal main mil-jul ke rahe juz ka usi mein hai vaqaar
fard naacheez hai gar shaamil-e-jamhoor nahin
kyun kiche rahte hain ye shaikh-o-barhaman baaham
dair ka'ba se jo haq par ho nazar door nahin
adab-o-sheer ka aalim hai vo wahdat-e-aain
ki jahaan kaafir-o-deen-daar ka mazkoor nahin
had-e-jughraafiya se she'r ki duniya hai juda
door keelaas se do gaz bhi yahan toor nahin
kaif baaki hai vo is mein ki nahin jis ko khumaar
baada-e-sheer koi baada-e-angoor nahin
saaqi-e-mast-nazar hai ye fusoon ya ej'aaz
sab ko madhosh kiya aap to makhmoor nahin
saaghar ik aur bhi de peer-e-mugaan kaafi ko
nashsha-e-be-khudi-e-ishq mein vo choor nahin
क़ैस का तुझ में जुनूँ जज़्बा-ए-मंसूर नहीं
वर्ना मंज़िल-गह-ए-दिलदार तो कुछ दूर नहीं
कोह-ओ-वादी वही बिजली वही बे-होशी भी
जल्वा लेकिन वो दिल-अफ़रोज़ सर-ए-तूर नहीं
ढूँडने जाऊँ किसे जाऊँ तो मैं जाऊँ कहाँ
दिल के जो पास है वो आँख भी कुछ दूर नहीं
फेर में ज़ात-ओ-सिफ़त के न सरासीमा हो
नहीं मा'लूम कि जौहर से अरज़ दूर नहीं
नज़र आता नहीं तुझ को तो है आँखों का क़ुसूर
अक्स से शख़्स हक़ीक़त में ज़रा दूर नहीं
जल्वा-सामाँ है रह-ए-इश्क़ में ज़र्रा ज़र्रा
साहब-ए-ज़ौक़-ए-नज़र मुंतज़िर-ए-तूर नहीं
अम्र-ए-हक़ हर्फ़-ए-अज़ल है तो ये फ़तवे कैसे
वो नई बात नहीं मैं कोई मंसूर नहीं
झूट सच उस को है यकसाँ वो है अपनी धुन का
हक़-शनासी मिरे नक़्क़ाद का दस्तूर नहीं
किब्र ही से तो अज़ाज़ील है शैतान-ए-रजीम
आदमी है वही इंसान जो मग़रूर नहीं
क्या तमाशा है लिए जाते हैं तक़दीर का नाम
और तदबीर से इक लहज़ा भी मा'ज़ूर नहीं
नहीं तक़दीर की तहरीर से इंकार मगर
इस में तदबीर मुक़द्दर है जो मज़कूर नहीं
आप तक़दीर सुधर जाएगी तदबीर तो कर
कौन कहता है कि इंसान को मक़्दूर नहीं
तू अवारिज़ से अवारिज़ की है तुझ से पर्वाज़
तू जो मुतलक़ नहीं मुख़्तार तो मजबूर नहीं
ज़र्रे ज़र्रे को है इक फ़र्ज़ वदीअ'त हक़ से
न समझ तो कोई क़ैसर नहीं फ़ग़्फ़ूर नहीं
कारगाह-ए-अमल इस दहर को वो समझे हैं
गुल-ओ-बुलबुल के करिश्मों से जो मातूर नहीं
कल मैं मिल-जुल के रहे जुज़ का उसी में है वक़ार
फ़र्द नाचीज़ है गर शामिल-ए-जम्हूर नहीं
क्यूँ खिचे रहते हैं ये शैख़-ओ-बरहमन बाहम
दैर का'बा से जो हक़ पर हो नज़र दूर नहीं
अदब-ओ-शेर का आलिम है वो वहदत-ए-आईं
कि जहाँ काफ़िर-ओ-दीं-दार का मज़कूर नहीं
हद-ए-जुग़राफ़िया से शे'र की दुनिया है जुदा
दूर कीलास से दो गज़ भी यहाँ तूर नहीं
कैफ़ बाक़ी है वो इस में कि नहीं जिस को ख़ुमार
बादा-ए-शेर कोई बादा-ए-अंगूर नहीं
साक़ी-ए-मस्त-नज़र है ये फ़ुसूँ या ए'जाज़
सब को मदहोश किया आप तो मख़मूर नहीं
साग़र इक और भी दे पीर-ए-मुग़ाँ 'कैफ़ी' को
नश्शा-ए-बे-ख़ूदी-ए-इश्क़ में वो चूर नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dattatriya Kaifi
our suggestion based on Dattatriya Kaifi
As you were reading Taareef Shayari Shayari