jab vo mah-e-rukh'saar yakaayak nazar aaya | जब वो मह-ए-रुख़्सार यकायक नज़र आया

  - Daud Aurangabadi

jab vo mah-e-rukh'saar yakaayak nazar aaya
us maah ki tal'at soon suraj dil mein dar aaya

tere rukh-e-raushan koon siyah khat mein sireejan
dekha so kaha abr-e-siyah mein qamar aaya

gulshan mein chal ai sarv-e-sahi sair ki khaatir
tujh vaaste le gul tabaq-e-naqd-e-zar aaya

tujh jaam-e-nayan mein hai ajab baada-e-sarshaar
yak deed sati jis ke ho dil be-khabar aaya

muhtaaj-e-kabootar nahin mujh shauq ka naama
qaasid ho mera dil le sajan ki khabar aaya

kahte hain sab ahl-e-sukhan is sher koon sun kar
tujh taba mein daaud wali ka asar aaya

जब वो मह-ए-रुख़्सार यकायक नज़र आया
उस माह की तलअत सूँ सुरज दिल में दर आया

तेरे रुख़-ए-रौशन कूँ सियह ख़त में सिरीजन
देखा सो कहा अब्र-ए-सियह में क़मर आया

गुलशन में चल ऐ सर्व-ए-सही सैर की ख़ातिर
तुझ वास्ते ले गुल तबक़-ए-नक़्द-ए-ज़र आया

तुझ जाम-ए-नयन में है अजब बादा-ए-सरशार
यक दीद सती जिस के हो दिल बे-ख़बर आया

मुहताज-ए-कबूतर नहीं मुझ शौक़ का नामा
क़ासिद हो मिरा दिल ले सजन की ख़बर आया

कहते हैं सब अहल-ए-सुख़न इस शेर कूँ सुन कर
तुझ तब्अ में 'दाऊद' 'वली' का असर आया

  - Daud Aurangabadi

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Aurangabadi

As you were reading Shayari by Daud Aurangabadi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Aurangabadi

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari