guzar jaate hain jo nazrein bacha kar be-khabar ho kar | गुज़र जाते हैं जो नज़रें बचा कर बे-ख़बर हो कर - Dharmpal Aaqil

guzar jaate hain jo nazrein bacha kar be-khabar ho kar
vo kya darmaan karenge dard-e-dil ka chaaragar ho kar

nahin sayyaad ka shikwa yahi manzoor-e-qudrat tha
qafas hi mein humein rahna tha yun be-baal-o-par ho kar

zamaane-bhar mein ho aaye tumhaari deed ki khaatir
charaagh-e-aarzoo ban kar tamanna-e-nazar ho kar

bura ho be-khudi ka hum rahe mehroom-e-nazzaara
guzarne ko hazaaron baar vo guzre idhar ho kar

muqaddar mein jo hota hai likha ho kar hi rehta hai
meri aahen palat aayein falak se be-asar ho kar

kahaan se kis tarah kis waqt khinch kar log aa pahunchen
wahin lagte gaye mele koi guzra jidhar ho kar

sukhandaano ne laakhon she'r kah dale magar aaqil
nahin vo she'r jo utre na dil mein neshtar ho kar

गुज़र जाते हैं जो नज़रें बचा कर बे-ख़बर हो कर
वो क्या दरमाँ करेंगे दर्द-ए-दिल का चारागर हो कर

नहीं सय्याद का शिकवा यही मंज़ूर-ए-क़ुदरत था
क़फ़स ही में हमें रहना था यूँ बे-बाल-ओ-पर हो कर

ज़माने-भर में हो आए तुम्हारी दीद की ख़ातिर
चराग़-ए-आरज़ू बन कर तमन्ना-ए-नज़र हो कर

बुरा हो बे-ख़ुदी का हम रहे महरूम-ए-नज़्ज़ारा
गुज़रने को हज़ारों बार वो गुज़रे इधर हो कर

मुक़द्दर में जो होता है लिखा हो कर ही रहता है
मिरी आहें पलट आईं फ़लक से बे-असर हो कर

कहाँ से किस तरह किस वक़्त खिंच कर लोग आ पहुँचे
वहीं लगते गए मेले कोई गुज़रा जिधर हो कर

सुख़न-दानों ने लाखों शे'र कह डाले मगर 'आक़िल'
नहीं वो शे'र जो उतरे न दिल में नेश्तर हो कर

- Dharmpal Aaqil
0 Likes

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dharmpal Aaqil

As you were reading Shayari by Dharmpal Aaqil

Similar Writers

our suggestion based on Dharmpal Aaqil

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari