jin ko har rang mein jeene ka kamaal aata hai | जिन को हर रंग में जीने का कमाल आता है - Dharmpal Aaqil

jin ko har rang mein jeene ka kamaal aata hai
un ke aaina-e-dil mein kahi baal aata hai

kaun sunta hai sada toote dilon ki ai dil
gham-nasibo ka bhala kis ko khayal aata hai

yun to mansoor bane firte hain kuch log magar
un ke hosh udte hain jab sar ka sawaal aata hai

hum ki azaad hain khush-baash parindon ki tarah
kuch bhi hota rahe kab dil mein malaal aata hai

dil mein jal uthati hain sau shamaein haseen yaadon ki
jab humein ahad-e-jawaani ka khayal aata hai

kyun unhen khubt mohabbat ka hai jin ke aage
jeene marne ka mohabbat mein sawaal aata hai

jis ke muhtaaj shahenshah bhi hain ai aaqil
hum faqeeron ko ik aisa bhi kamaal aata hai

जिन को हर रंग में जीने का कमाल आता है
उन के आईना-ए-दिल में कहीं बाल आता है

कौन सुनता है सदा टूटे दिलों की ऐ दिल
ग़म-नसीबों का भला किस को ख़याल आता है

यूँ तो मंसूर बने फिरते हैं कुछ लोग मगर
उन के होश उड़ते हैं जब सर का सवाल आता है

हम कि आज़ाद हैं ख़ुश-बाश परिंदों की तरह
कुछ भी होता रहे कब दिल में मलाल आता है

दिल में जल उठती हैं सौ शमएँ हसीं यादों की
जब हमें अहद-ए-जवानी का ख़याल आता है

क्यों उन्हें ख़ब्त मोहब्बत का है जिन के आगे
जीने मरने का मोहब्बत में सवाल आता है

जिस के मुहताज शहंशाह भी हैं ऐ 'आक़िल'
हम फ़क़ीरों को इक ऐसा भी कमाल आता है

- Dharmpal Aaqil
0 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dharmpal Aaqil

As you were reading Shayari by Dharmpal Aaqil

Similar Writers

our suggestion based on Dharmpal Aaqil

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari