pareshaan hain khird-mandoon ki hairaani nahin jaati | परेशाँ हैं ख़िरद-मंदों की हैरानी नहीं जाती - Dharmpal Aaqil

pareshaan hain khird-mandoon ki hairaani nahin jaati
mitaai aql se tehreer-e-peshaani nahin jaati

bhulaata hoon unhen jitna vo utne yaad aate hain
khalish zakham-e-mohabbat ki b-aasaani nahin jaati

agar ho sheesha-e-dil saaf to dam-bhar mein khul jaaye
haqeeqat kyun khuda-e-paak ki jaani nahin jaati

muqaddar mein jo likkha hai vo badla hai na badlega
khudaai hukm mein hujjat koi maani nahin jaati

kisi ka jalwa-e-rangeen kahi ik baar dekha tha
magar ab tak nigaahon ki vo hairaani nahin jaati

havas deedaar ki dil se jo nikle bhi to kya nikle
bahaar-e-husn ki jab jalwa-saamaani nahin jaati

hayaat-e-chand-roza ke tamasho mein hain gham aise
hamaare dil se hirs-e-aalam-e-faani nahin jaati

hamaari zindagi hai ik bahaar-e-be-khizan aaqil
hamaare taair-e-dil ki ghazal-khwaani nahin jaati

परेशाँ हैं ख़िरद-मंदों की हैरानी नहीं जाती
मिटाई अक़्ल से तहरीर-ए-पेशानी नहीं जाती

भुलाता हूँ उन्हें जितना वो उतने याद आते हैं
ख़लिश ज़ख़्म-ए-मोहब्बत की ब-आसानी नहीं जाती

अगर हो शीशा-ए-दिल साफ़ तो दम-भर में खुल जाए
हक़ीक़त क्यों ख़ुदा-ए-पाक की जानी नहीं जाती

मुक़द्दर में जो लिक्खा है वो बदला है न बदलेगा
ख़ुदाई हुक्म में हुज्जत कोई मानी नहीं जाती

किसी का जल्वा-ए-रंगीं कहीं इक बार देखा था
मगर अब तक निगाहों की वो हैरानी नहीं जाती

हवस दीदार की दिल से जो निकले भी तो क्या निकले
बहार-ए-हुस्न की जब जल्वा-सामानी नहीं जाती

हयात-ए-चंद-रोज़ा के तमाशों में हैं ग़म ऐसे
हमारे दिल से हिर्स-ए-आलम-ए-फ़ानी नहीं जाती

हमारी ज़िंदगी है इक बहार-ए-बे-ख़िज़ाँ 'आक़िल'
हमारे ताइर-ए-दिल की ग़ज़ल-ख़्वानी नहीं जाती

- Dharmpal Aaqil
0 Likes

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dharmpal Aaqil

As you were reading Shayari by Dharmpal Aaqil

Similar Writers

our suggestion based on Dharmpal Aaqil

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari