phir aur kya hai agar chashmak-e-sharaar nahin | फिर और क्या है अगर चश्मक-ए-शरार नहीं - Dharmpal Aaqil

phir aur kya hai agar chashmak-e-sharaar nahin
bashar ki zeest ka duniya mein e'tibaar nahin

suna hai hum ne mohabbat hi mein faqat hai qaraar
magar ye kya ki mohabbat ko khud qaraar nahin

kisi ki baat ka ab kaun e'tibaar kare
ye dekh kar ki kisi ka kuch e'tibaar nahin

gunaahgaar ko ai dosto bura na kaho
nahin bashar vo bashar jo gunaahgaar nahin

hamaare dil mein hain kai daagh poochte kya ho
koi hisaab nahin hai koi shumaar nahin

hai jab se us ka tasavvur ye haal hai ki mujhe
khizaan ka khauf nahin khwahish-e-bahaar nahin

फिर और क्या है अगर चश्मक-ए-शरार नहीं
बशर की ज़ीस्त का दुनिया में ए'तिबार नहीं

सुना है हम ने मोहब्बत ही में फ़क़त है क़रार
मगर ये क्या कि मोहब्बत को ख़ुद क़रार नहीं

किसी की बात का अब कौन ए'तिबार करे
ये देख कर कि किसी का कुछ ए'तिबार नहीं

गुनाहगार को ऐ दोस्तो बुरा न कहो
नहीं बशर वो बशर जो गुनाहगार नहीं

हमारे दिल में हैं कै दाग़ पूछते क्या हो
कोई हिसाब नहीं है कोई शुमार नहीं

है जब से उस का तसव्वुर ये हाल है कि मुझे
ख़िज़ाँ का ख़ौफ़ नहीं ख़्वाहिश-ए-बहार नहीं

- Dharmpal Aaqil
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dharmpal Aaqil

As you were reading Shayari by Dharmpal Aaqil

Similar Writers

our suggestion based on Dharmpal Aaqil

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari