ab tire gham ke andheron mein utar jaaunga
khud hi ban ke main wahan shams-o-qamar jaaunga
ik nazar pyaar se dekho to nawaazish hogi
phir na aauga kabhi aise nagar jaaunga
phir se be-saakhta hichki jo mujhe aayegi
naam tera hi sada loonga jidhar jaaunga
mil gai tere khayaalon se tajalli dil ko
talkh raahon pe bhi be-khauf-o-khatr jaaunga
har dagar tedhi hai tirchi hai zamaana be-dil
zid hai mujh ko ki tujhe dhundh ke ghar jaaunga
meri hasti nahin akhbaar ki har koi parhe
main risaala hoon sar-e-ahl-e-nazar jaaunga
dil-nawaz aaj talak kyun mujhe manzil na mili
kya yun hi umr ki raahon se guzar jaaunga
अब तिरे ग़म के अँधेरों में उतर जाऊँगा
ख़ुद ही बन के मैं वहाँ शम्स-ओ-क़मर जाऊँगा
इक नज़र प्यार से देखो तो नवाज़िश होगी
फिर न आउँगा कभी ऐसे नगर जाऊँगा
फिर से बे-साख़्ता हिचकी जो मुझे आएगी
नाम तेरा ही सदा लूँगा जिधर जाऊँगा
मिल गई तेरे ख़यालों से तजल्ली दिल को
तल्ख़ राहों पे भी बे-ख़ौफ़-ओ-ख़तर जाऊँगा
हर डगर टेढ़ी है तिरछी है ज़माना बे-दिल
ज़िद है मुझ को कि तुझे ढूँड के घर जाऊँगा
मेरी हस्ती नहीं अख़बार कि हर कोई पढ़े
मैं रिसाला हूँ सर-ए-अहल-ए-नज़र जाऊँगा
'दिल-नवाज़' आज तलक क्यों मुझे मंज़िल न मिली
क्या यूँ ही उम्र की राहों से गुज़र जाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dilnawaz Khan Dilnawaz
our suggestion based on Dilnawaz Khan Dilnawaz
As you were reading Raasta Shayari Shayari