ashk aankhon se dhalti dekha hai
zindagi ko machalte dekha hai
gardish-e-waqt kab ruki lekin
us ko pahluu badalte dekha hai
dam pe un ke karam ki yoorish mein
kis ne dam ko nikalte dekha hai
aas ki jot dil ki garmi mein
saare ehsaas palte dekha hai
jin ko duniya ki har khushi hai mili
haath un ko bhi malte dekha hai
band aankhon mein tera husn-e-khayaal
tujh ko har samt chalte dekha hai
dil-nawaz aatish-e-talab hi to thi
jis mein tum ko bhi jalte dekha hai
अश्क आँखों से ढलते देखा है
ज़िंदगी को मचलते देखा है
गर्दिश-ए-वक़्त कब रुकी लेकिन
उस को पहलू बदलते देखा है
दम पे उन के करम की यूरिश में
किस ने दम को निकलते देखा है
आस की जोत दिल की गर्मी में
सारे एहसास पलते देखा है
जिन को दुनिया की हर ख़ुशी है मिली
हाथ उन को भी मलते देखा है
बंद आँखों में तेरा हुस्न-ए-ख़याल
तुझ को हर सम्त चलते देखा है
'दिल-नवाज़' आतिश-ए-तलब ही तो थी
जिस में तुम को भी जलते देखा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dilnawaz Khan Dilnawaz
our suggestion based on Dilnawaz Khan Dilnawaz
As you were reading Zindagi Shayari Shayari