ye kaise dard ne qisse ka ikhtitaam kiya | ये कैसे दर्द ने क़िस्से का इख़्तिताम किया

  - Dilnawaz Khan Dilnawaz

ye kaise dard ne qisse ka ikhtitaam kiya
mujhe mitaane ka ik zauq-e-na-tamaam kiya

vo sabza sookha vo pedon se gir pade patte
hamaari maut ka kis kis ne ehtiraam kiya

utha janaaza to aansu baha ke baadal ne
wuzoo ka kitna ye bar-waqt intizaam kiya

behisht aur jahannum ke darmiyaan rakha
mere gunaahon ne itna to ek kaam kiya

hai dil-nawaz ye duniya ka ek khel naya
kisi ne lootaa hamein aur kisi ka naam kiya

ये कैसे दर्द ने क़िस्से का इख़्तिताम किया
मुझे मिटाने का इक ज़ौक़-ए-ना-तमाम किया

वो सब्ज़ा सूखा वो पेड़ों से गिर पड़े पत्ते
हमारी मौत का किस किस ने एहतिराम किया

उठा जनाज़ा तो आँसू बहा के बादल ने
वुज़ू का कितना ये बर-वक़्त इंतिज़ाम किया

बहिश्त और जहन्नुम के दरमियाँ रखा
मिरे गुनाहों ने इतना तो एक काम किया

है 'दिल-नवाज़' ये दुनिया का एक खेल नया
किसी ने लूटा हमें और किसी का नाम किया

  - Dilnawaz Khan Dilnawaz

Death Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilnawaz Khan Dilnawaz

As you were reading Shayari by Dilnawaz Khan Dilnawaz

Similar Writers

our suggestion based on Dilnawaz Khan Dilnawaz

Similar Moods

As you were reading Death Shayari Shayari