dara rahe hain ye manzar bhi ab to ghar ke mujhe
dikhaai khwaab diye raat bhar khandar ke mujhe
har ik ghazal mein main rozaana chaand taankta hoon
sitaare choomte hain shab utar utar ke mujhe
ganwa di umr use nazm kar nahin paaya
saleeqe aate hain vaise to har hunar ke mujhe
is ek shauq ne mujh ko mita diya yaaro
bas ek baar kabhi dekhna tha mar ke mujhe
kinaare baith ke karta hoon nazm ashkon ko
nadi sunaati hai afsaane chashm-e-tar ke mujhe
main ik adhuri si tasveer tha udaasi ki
kiya hai us ne mukammal tabaah kar ke mujhe
डरा रहे हैं ये मंज़र भी अब तो घर के मुझे
दिखाई ख़्वाब दिए रात भर खंडर के मुझे
हर इक ग़ज़ल में मैं रोज़ाना चाँद टांकता हूँ
सितारे चूमते हैं शब उतर उतर के मुझे
गँवा दी उम्र उसे नज़्म कर नहीं पाया
सलीक़े आते हैं वैसे तो हर हुनर के मुझे
इस एक शौक़ ने मुझ को मिटा दिया यारो
बस एक बार कभी देखना था मर के मुझे
किनारे बैठ के करता हूँ नज़्म अश्कों को
नदी सुनाती है अफ़्साने चश्म-ए-तर के मुझे
मैं इक अधूरी सी तस्वीर था उदासी की
किया है उस ने मुकम्मल तबाह कर के मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dinesh naaidu
our suggestion based on Dinesh naaidu
As you were reading Depression Shayari Shayari