abhi adhoore hain geet mere abhi adhuri si dastaan hai | अभी अधूरे हैं गीत मेरे अभी अधूरी सी दास्ताँ है - Dutta Saghar

abhi adhoore hain geet mere abhi adhuri si dastaan hai
na chaand nikla na taare damke na muskuraati vo kahkashaan hai

abhi to honton pe aah si hai bujhi bujhi kuch nigaah si hai
abhi to har-soo khamoshiyaan hain abhi to har-soo dhuaan dhuaan hai

abhi to raahon mein pech-o-kham hain ki haadse bhi qadam qadam hain
abhi to baaki kai sitam hain abhi to baaki kuch imtihaan hai

abhi to qaus-e-quzah ke jaise hain khwaab bunne haseen kitne
vo phool bhi to abhi hain chunne azal se jin ki mahak ravaan hai

अभी अधूरे हैं गीत मेरे अभी अधूरी सी दास्ताँ है
न चाँद निकला न तारे दमके न मुस्कुराती वो कहकशाँ है

अभी तो होंटों पे आह सी है बुझी बुझी कुछ निगाह सी है
अभी तो हर-सू ख़मोशियाँ हैं अभी तो हर-सू धुआँ धुआँ है

अभी तो राहों में पेच-ओ-ख़म हैं कि हादसे भी क़दम क़दम हैं
अभी तो बाक़ी कई सितम हैं अभी तो बाक़ी कुछ इम्तिहाँ है

अभी तो क़ौस-ए-क़ुज़ह के जैसे हैं ख़्वाब बुनने हसीन कितने
वो फूल भी तो अभी हैं चुनने अज़ल से जिन की महक रवाँ है

- Dutta Saghar
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dutta Saghar

As you were reading Shayari by Dutta Saghar

Similar Writers

our suggestion based on Dutta Saghar

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari