diye maati ke nahin dil ke jala karte the | दिए माटी के नहीं दिल के जला करते थे - Dutta Saghar

diye maati ke nahin dil ke jala karte the
kabhi is mulk mein insaan bhi raha karte the

ab to daste hue sannaate hain bas door talak
goshe goshe mein jahaan jashn hua karte the

be-sahaaron ki qataaron mein unhen dekha hai
kabhi jo haath sitaaron ko chhua karte the

ye ajanta ye haseen taaj khabar deta hai
pattharon mein bhi yahan chaand khila karte the

kaise aati na asar le ke falak se saaghar
log honton se nahin dil se dua karte the

दिए माटी के नहीं दिल के जला करते थे
कभी इस मुल्क में इंसाँ भी रहा करते थे

अब तो डसते हुए सन्नाटे हैं बस दूर तलक
गोशे गोशे में जहाँ जश्न हुआ करते थे

बे-सहारों की क़तारों में उन्हें देखा है
कभी जो हाथ सितारों को छुआ करते थे

ये अजंता ये हसीं ताज ख़बर देता है
पत्थरों में भी यहाँ चाँद खिला करते थे

कैसे आती न असर ले के फ़लक से 'साग़र'
लोग होंटों से नहीं दिल से दुआ करते थे

- Dutta Saghar
0 Likes

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dutta Saghar

As you were reading Shayari by Dutta Saghar

Similar Writers

our suggestion based on Dutta Saghar

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari