ladkhadaate qadam hain aur main hoon | लड़खड़ाते क़दम हैं और मैं हूँ - Dutta Saghar

ladkhadaate qadam hain aur main hoon
bas sitam par sitam hain aur main hoon

dil ki mehfil mein ab rakha kya hai
raqs-e-paiham alam hain aur main hoon

dair-o-ka'ba. tumhein mubarak ho
un ke naqsh-e-qadam hain aur main hoon

kitni sadiyaan guzar gaeein lekin
wahi zulm-o-sitam hain aur main hoon

ik tira dard hi nahin tanhaa
aise kitne hi gham hain aur main hoon

meri khaatir tu kyun pareshaan hai
saath tere karam hain aur main hoon

jaane saaqi ki aarzoo kya hai
kham-o-saaghar hain sam hain aur main hoon

लड़खड़ाते क़दम हैं और मैं हूँ
बस सितम पर सितम हैं और मैं हूँ

दिल की महफ़िल में अब रखा क्या है
रक़्स-ए-पैहम अलम हैं और मैं हूँ

दैर-ओ-का'बा तुम्हें मुबारक हो
उन के नक़्श-ए-क़दम हैं और मैं हूँ

कितनी सदियाँ गुज़र गईं लेकिन
वही ज़ुल्म-ओ-सितम हैं और मैं हूँ

इक तिरा दर्द ही नहीं तन्हा
ऐसे कितने ही ग़म हैं और मैं हूँ

मेरी ख़ातिर तू क्यों परेशाँ है
साथ तेरे करम हैं और मैं हूँ

जाने साक़ी की आरज़ू क्या है
ख़ुम-ओ-साग़र हैं सम हैं और मैं हूँ

- Dutta Saghar
0 Likes

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dutta Saghar

As you were reading Shayari by Dutta Saghar

Similar Writers

our suggestion based on Dutta Saghar

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari