aa gaya eesaar mere halka-e-ahbaab mein | आ गया ईसार मेरे हल्क़ा-ए-अहबाब में - Ejaz Asif

aa gaya eesaar mere halka-e-ahbaab mein
phir kisi shole ne paai hai numoo barfaab mein

kah rahi hai sahilon se doobne waale ki laash
main ne paaya hai sukoon ik muztarib girdaab mein

kaanp utha hoon varood-e-baarish-e-maoo'uda par
ghark hone ko hai saara shehar sail-e-aab mein

mere haathon mein agar taqdeer-e-subh-o-shaam ho
titliyan ta'beer ki rakh doon kitaab-e-khwaab mein

khaak ke putle ne aakhir kar diya ifsha use
dafan tha jo raaz ab tak seena-e-mahtaab mein

saamne ki cheez mein aasif nahin koi kashish
tak na yun hairat se apne aks ko taalaab mein

आ गया ईसार मेरे हल्क़ा-ए-अहबाब में
फिर किसी शोले ने पाई है नुमू बर्फ़ाब में

कह रही है साहिलों से डूबने वाले की लाश
मैं ने पाया है सुकूँ इक मुज़्तरिब गिर्दाब में

काँप उट्ठा हूँ वरूद-ए-बारिश-ए-मौऊदा पर
ग़र्क़ होने को है सारा शहर सैल-ए-आब में

मेरे हाथों में अगर तक़दीर-ए-सुब्ह-ओ-शाम हो
तितलियाँ ता'बीर की रख दूँ किताब-ए-ख़्वाब में

ख़ाक के पुतले ने आख़िर कर दिया इफ़्शा उसे
दफ़न था जो राज़ अब तक सीना-ए-महताब में

सामने की चीज़ में 'आसिफ़' नहीं कोई कशिश
तक न यूँ हैरत से अपने अक्स को तालाब में

- Ejaz Asif
0 Likes

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Asif

As you were reading Shayari by Ejaz Asif

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Asif

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari