har ek shay ki haqeeqat se ba-khabar dekhoon | हर एक शय की हक़ीक़त से बा-ख़बर देखूँ - Ejaz Asif

har ek shay ki haqeeqat se ba-khabar dekhoon
main apni khaak mein pinhaan tujhe bhi gar dekhoon

ye kya ki haath badhaaun to sang-reze milen
kahi to main bhi damakte hue guhar dekhoon

ho aankh mein kisi chehre ka doobta manzar
main paaniyon mein muqayyad kisi ka ghar dekhoon

tamaam umr usi saaye ki talash karoon
ki jis ko dekhna chaahoon to dar-b-dar dekhoon

nazar ke saamne jab ho na koi tere siva
main teri samt na dekhoon to phir kidhar dekhoon

hai aarzoo yahi aasif ki rah-e-zulmat mein
use bhi apni tarah main kabhi nidar dekhoon

हर एक शय की हक़ीक़त से बा-ख़बर देखूँ
मैं अपनी ख़ाक में पिन्हाँ तुझे भी गर देखूँ

ये क्या कि हात बढ़ाऊँ तो संग-रेज़े मिलें
कहीं तो मैं भी दमकते हुए गुहर देखूँ

हो आँख में किसी चेहरे का डूबता मंज़र
मैं पानियों में मुक़य्यद किसी का घर देखूँ

तमाम उम्र उसी साए की तलाश करूँ
कि जिस को देखना चाहूँ तो दर-ब-दर देखूँ

नज़र के सामने जब हो न कोई तेरे सिवा
मैं तेरी सम्त न देखूँ तो फिर किधर देखूँ

है आरज़ू यही 'आसिफ़' कि राह-ए-ज़ुल्मत में
उसे भी अपनी तरह मैं कभी निडर देखूँ

- Ejaz Asif
0 Likes

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Asif

As you were reading Shayari by Ejaz Asif

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Asif

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari