kiye hain mujh pe jo ehsaan jata nahin saka | किए हैं मुझ पे जो एहसाँ जता नहीं सकता - Ejaz Asif

kiye hain mujh pe jo ehsaan jata nahin saka
vo shakhs to mera dil bhi dikha nahin saka

chhupa hua hoon tah-e-sang ek muddat se
hawa ka jhonka meri samt aa nahin saka

pare hai aaj bhi vo sarhad-e-tasavvur se
main us ko pooj to saka hoon pa nahin saka

dikha raha hai wahi mauj mauj aks mujhe
vo tera aks jise main bana nahin saka

main ek naghma-e-saada-mizaaj hoon aasif
qaba-e-saaz mein khud ko chhupa nahin saka

किए हैं मुझ पे जो एहसाँ जता नहीं सकता
वो शख़्स तो मिरा दिल भी दिखा नहीं सकता

छुपा हुआ हूँ तह-ए-संग एक मुद्दत से
हवा का झोंका मिरी सम्त आ नहीं सकता

परे है आज भी वो सरहद-ए-तसव्वुर से
मैं उस को पूज तो सकता हूँ पा नहीं सकता

दिखा रहा है वही मौज मौज अक्स मुझे
वो तेरा अक्स जिसे मैं बना नहीं सकता

मैं एक नग़्मा-ए-सादा-मिज़ाज हूँ 'आसिफ़'
क़बा-ए-साज़ में ख़ुद को छुपा नहीं सकता

- Ejaz Asif
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Asif

As you were reading Shayari by Ejaz Asif

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Asif

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari