naved-e-yaum-e-baharaan khizaan se zaahir ho | नवेद-ए-यौम-ए-बहाराँ ख़िज़ाँ से ज़ाहिर हो - Ejaz Asif

naved-e-yaum-e-baharaan khizaan se zaahir ho
misaal-e-saut-e-pareshaan fugaan se zaahir ho

tujhe gumaan hai agar khud pe lafz-e-raushan ka
rida-e-shabnam-e-izz-e-bayaan se zaahir ho

chamak uthe meri aankhon mein ashk ki soorat
jo aag dil mein hai raushan zabaan se zaahir ho

kisi bhi samt se ubhre sitaara-e-aawaaz
nahin ye qaid ki vo aasmaan se zaahir ho

vo kaayenaat ka khaaliq sahi magar aasif
yaqeen hai khud pe use to gumaan se zaahir ho

नवेद-ए-यौम-ए-बहाराँ ख़िज़ाँ से ज़ाहिर हो
मिसाल-ए-सौत-ए-परेशाँ फ़ुग़ाँ से ज़ाहिर हो

तुझे गुमाँ है अगर ख़ुद पे लफ़्ज़-ए-रौशन का
रिदा-ए-शबनम-ए-इज्ज़-ए-बयाँ से ज़ाहिर हो

चमक उठे मिरी आँखों में अश्क की सूरत
जो आग दिल में है रौशन ज़बाँ से ज़ाहिर हो

किसी भी सम्त से उभरे सितारा-ए-आवाज़
नहीं ये क़ैद कि वो आसमाँ से ज़ाहिर हो

वो काएनात का ख़ालिक़ सही मगर 'आसिफ़'
यक़ीं है ख़ुद पे उसे तो गुमाँ से ज़ाहिर हो

- Ejaz Asif
0 Likes

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Asif

As you were reading Shayari by Ejaz Asif

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Asif

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari