raushni ko teergi ka qahar ban kar le gaya | रौशनी को तीरगी का क़हर बन कर ले गया - Ejaz Asif

raushni ko teergi ka qahar ban kar le gaya
aankh mein mahfooz the jitne bhi manzar le gaya

ajnabi sa lag raha hoon aaj apne aap ko
aaine ke saamne main kis ka paikar le gaya

kyun nazar aati nahin ab kaatee sathe-aab par
kheench kar naddi ke sar se kaun chadar le gaya

phir hui aamada-e-paikaar pedon se hawa
phir koi jhonka kai patte uda kar le gaya

rokte hi rah gaye deewar-o-dar aasif mujhe
main magar chup-chaap khud ko ghar se baahar le gaya

रौशनी को तीरगी का क़हर बन कर ले गया
आँख में महफ़ूज़ थे जितने भी मंज़र ले गया

अजनबी सा लग रहा हूँ आज अपने आप को
आइने के सामने मैं किस का पैकर ले गया

क्यूँ नज़र आती नहीं अब काटी सत्ह-ए-आब पर
खींच कर नद्दी के सर से कौन चादर ले गया

फिर हुई आमादा-ए-पैकार पेड़ों से हवा
फिर कोई झोंका कई पत्ते उड़ा कर ले गया

रोकते ही रह गए दीवार-ओ-दर 'आसिफ़' मुझे
मैं मगर चुप-चाप ख़ुद को घर से बाहर ले गया

- Ejaz Asif
0 Likes

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Asif

As you were reading Shayari by Ejaz Asif

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Asif

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari