tu hai ik taambe ka thaal | तू है इक ताँबे का थाल

  - Ejaz Farooqi

tu hai ik taambe ka thaal
jo suraj ki garmi mein saara saal tape
koi halka neela baadal jab us par boonden barsaaye
ek chhanaaka ho aur boonden baadal ko ud jaayen
taamba jalta rahe
vo hai ik bijli ka taar
jis ke andar tez aur aatishnaak ik barqi-rau daude
jo bhi us ke paas se guzre
us ki jaanib kheenchta jaaye
us ke saath chimat ke maut ke jhoole jhoole
barqi-rau waisi hi surat aur tezi se daudti jaaye
main hon barg-e-shajar
suraj chamke main us ki kirnon ko apne roop mein dhaaruun
baadal barase main us ki boonden apni rag rag mein utaarun
baad chale main us ki lehron ko nagmon mein dhaaloon
aur khizaan aaye to us ke munh mein apna ras tapka kar ped se utaroon
dharti mein mudgham ho jaaun
dharti jab mujh ko ugle to pauda ban kar footuun

तू है इक ताँबे का थाल
जो सूरज की गर्मी में सारा साल तपे
कोई हल्का नीला बादल जब उस पर बूँदें बरसाए
एक छनाका हो और बूँदें बादल को उड़ जाएँ
ताँबा जलता रहे
वो है इक बिजली का तार
जिस के अंदर तेज़ और आतिशनाक इक बर्क़ी-रौ दौड़े
जो भी उस के पास से गुज़रे
उस की जानिब खींचता जाए
उस के साथ चिमट के मौत के झूले झूले
बर्क़ी-रौ वैसी ही सुरअत और तेज़ी से दौड़ती जाए
मैं हों बर्ग-ए-शजर
सूरज चमके मैं उस की किरनों को अपने रूप में धारूँ
बादल बरसे मैं उस की बूँदें अपनी रग रग में उतारूँ
बाद चले मैं उस की लहरों को नग़्मों में ढालूँ
और ख़िज़ाँ आए तो उस के मुँह में अपना रस टपका कर पेड़ से उतरूँ
धरती में मुदग़म हो जाऊँ
धरती जब मुझ को उगले तो पौदा बन कर फूटूँ

  - Ejaz Farooqi

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Farooqi

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari