kal jo qabrastaan se lautaa | कल जो क़ब्रिस्तान से लौटा

  - Ejaz Farooqi

kal jo qabrastaan se lautaa
to tanhaai ka ik bojh utha kar laaya
aise lagta tha ki main bujhta diya hoon
aur sab log tamaashaai hain
muntazir hain ki mere bujhne ka manzar dekhen
aise lagta tha ki har gaam par khulte dahaane hain
mere jism ko aaghosh mein lene ke liye
zindagi door khadi hansati rahi
qahqahon ka ik samundar
meri jaanib mauj-dar-mauj badha
shab ka sannaata
falak-bos imaaraat ke darbon mein vo hilte hue saaye
jaise marghat ka samaan ho
raaste naag ki maanind dahaane khole
kahi fut-paath pe lete hue be-jaan se jism
jin pe khambhe yun khade the
jaise ye katbe gadde hon
phir achaanak vo barkon ki kreech
surkh-khoon ka ek favvaaraa
vo ik kutte ki laash
zindagi ek tilismaat-kada
jis ki deewaron ki zeenat ke liye
lamhon ki rangee titliyan patthar hui

कल जो क़ब्रिस्तान से लौटा
तो तन्हाई का इक बोझ उठा कर लाया
ऐसे लगता था कि मैं बुझता दिया हूँ
और सब लोग तमाशाई हैं
मुंतज़िर हैं कि मेरे बुझने का मंज़र देखें
ऐसे लगता था कि हर गाम पर खुलते दहाने हैं
मेरे जिस्म को आग़ोश में लेने के लिए
ज़िंदगी दूर खड़ी हँसती रही
क़हक़हों का इक समुंदर
मेरी जानिब मौज-दर-मौज बढ़ा
शब का सन्नाटा
फ़लक-बोस इमारात के डरबों में वो हिलते हुए साए
जैसे मरघट का समाँ हो
रास्ते नाग की मानिंद दहाने खोले
कहीं फ़ुट-पाथ पे लेटे हुए बे-जान से जिस्म
जिन पे खम्बे यूँ खड़े थे
जैसे ये कत्बे गड़े हों
फिर अचानक वो बर्कों की क्रीच
सुर्ख़-ख़ूँ का एक फव्वारा
वो इक कुत्ते की लाश
ज़िंदगी एक तिलिस्मात-कदा
जिस की दीवारों की ज़ीनत के लिए
लम्हों की रंगी तितलियाँ पत्थर हुईं

  - Ejaz Farooqi

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Farooqi

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari