hijr-e-paiham hai kya kiya jaaye | हिज्र-ए-पैहम है क्या किया जाए

  - Ejaz Haidar

hijr-e-paiham hai kya kiya jaaye
mustaqil gham hai kya kiya jaaye

ek tasveer saamne hai magar
aankh pur-nam hai kya kiya jaaye

us ki aadat hai der kar dena
zindagi kam hai kya kiya jaaye

saunp deta hawa ko khaak apni
par abhi nam hai kya kiya jaaye

kaisa jhagda hai mere andar ye
shor har dam hai kya kiya jaaye

main hoon tanhaa aur aap ke haq mein
ek aalam hai kya kiya jaaye

jhooth ka aur adl ka haider
rabt-e-baaham hai kya kiya jaaye

हिज्र-ए-पैहम है क्या किया जाए
मुस्तक़िल ग़म है क्या किया जाए

एक तस्वीर सामने है मगर
आँख पुर-नम है क्या किया जाए

उस की आदत है देर कर देना
ज़िंदगी कम है क्या किया जाए

सौंप देता हवा को ख़ाक अपनी
पर अभी नम है क्या किया जाए

कैसा झगड़ा है मेरे अन्दर ये
शोर हर दम है क्या किया जाए

मैं हूँ तन्हा और आप के हक़ में
एक आलम है क्या किया जाए

झूट का और अद्ल का 'हैदर'
रब्त-ए-बाहम है क्या किया जाए

  - Ejaz Haidar

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Haidar

As you were reading Shayari by Ejaz Haidar

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Haidar

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari