hijr kuchh is tarah guzaara hai
vasl kah kar use pukaara hai
ek tanhaai thi meri apni
is pe bhi us ka hi ijaara hai
umr itni abhi hui to nahin
jitna main ne use guzaara hai
faisla ho nahin saka ab tak
kaun se gham ne mujh ko maara hai
zindagi phir bhi mere jaisi rahi
main ne to is ko hi sanwaara hai
meri jaanib hai aap ki ungli
par kisi aur ka ishaara hai
हिज्र कुछ इस तरह गुज़ारा है
वस्ल कह कर उसे पुकारा है
एक तन्हाई थी मिरी अपनी
इस पे भी उस का ही इजारा है
उम्र इतनी अभी हुई तो नहीं
जितना मैं ने उसे गुज़ारा है
फ़ैसला हो नहीं सका अब तक
कौन से ग़म ने मुझ को मारा है
ज़िंदगी फिर भी मेरे जैसी रही
मैं ने तो इस को ही सँवारा है
मेरी जानिब है आप की उँगली
पर किसी और का इशारा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Haidar
our suggestion based on Ejaz Haidar
As you were reading Irada Shayari Shayari