khushi ki baat thi lekin mujhe rula gai hai | ख़ुशी की बात थी लेकिन मुझे रुला गई है

  - Ejaz Haidar

khushi ki baat thi lekin mujhe rula gai hai
kahaan se baat chali thi kahaan tak aa gai hai

mera khuda to yaqeenan bharam rakhega mera
main jaanta hoon ki us tak meri dua gai hai

main aam taur pe chalta hoon us se aage magar
kahi kahi mere aage meri ana gai hai

main apne naam ki takhti nahin lagata kahi
mera pata meri be-maaegi bata gai hai

sambhal ke baith tu masnad pe saahib-e-mansab
kisi ki jaan kisi ki yahan qaba gai hai

tujhe ye zo'm faqat tu tha raunaq-e-mehfil
jars ki goonj tire baad jaa-b-jaa gai hai

ख़ुशी की बात थी लेकिन मुझे रुला गई है
कहाँ से बात चली थी कहाँ तक आ गई है

मिरा ख़ुदा तो यक़ीनन भरम रखेगा मिरा
मैं जानता हूँ कि उस तक मिरी दुआ गई है

मैं आम तौर पे चलता हूँ उस से आगे मगर
कहीं कहीं मिरे आगे मिरी अना गई है

मैं अपने नाम की तख़्ती नहीं लगाता कहीं
मिरा पता मिरी बे-माएगी बता गई है

सँभल के बैठ तू मसनद पे साहिब-ए-मंसब
किसी की जान किसी की यहाँ क़बा गई है

तुझे ये ज़ो'म फ़क़त तू था रौनक़-ए-महफ़िल
जरस की गूँज तिरे बाद जा-ब-जा गई है

  - Ejaz Haidar

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Haidar

As you were reading Shayari by Ejaz Haidar

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Haidar

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari