naye baras bhi jo mela lagaaya jaana hai | नए बरस भी जो मेला लगाया जाना है

  - Ejaz Haidar

naye baras bhi jo mela lagaaya jaana hai
gaye dinon ko hi is mein bulaaya jaana hai

purane ghar ko naya gar banaya jaana hai
zarooratan use pehle giraaya jaana hai

mujhe pata hai ki pehle hansaaya jaana hai
aur us ke baad bahut hi rulaaya jaana hai

jahaan pe jaana mere bas ki baat hai hi nahin
main jaanta hoon wahin par bulaaya jaana hai

bade hi shauq se baitha hua hoon mehfil mein
zaroor mujh ko yahan se uthaya jaana hai

bhatk rahe hain jo kuchh log aate jaate hue
unhen bhi raasta aakhir dikhaaya jaana hai

adhedh umr ke nisyaan ka mas'ala hai yahi
vo yaad aata hai jis ko bhulaaya jaana hai

नए बरस भी जो मेला लगाया जाना है
गए दिनों को ही इस में बुलाया जाना है

पुराने घर को नया गर बनाया जाना है
ज़रूरतन उसे पहले गिराया जाना है

मुझे पता है कि पहले हँसाया जाना है
और उस के बाद बहुत ही रुलाया जाना है

जहाँ पे जाना मिरे बस की बात है ही नहीं
मैं जानता हूँ वहीं पर बुलाया जाना है

बड़े ही शौक़ से बैठा हुआ हूँ महफ़िल में
ज़रूर मुझ को यहाँ से उठाया जाना है

भटक रहे हैं जो कुछ लोग आते जाते हुए
उन्हें भी रास्ता आख़िर दिखाया जाना है

अधेड़ उम्र के निस्याँ का मसअला है यही
वो याद आता है जिस को भुलाया जाना है

  - Ejaz Haidar

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Haidar

As you were reading Shayari by Ejaz Haidar

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Haidar

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari