wahin pe gham hai jahaan par khushi padi hui hai
aur un ke beech mein bhi dushmani padi hui hai
nimat luun us se to sochunga apne baare mein
abhi to mere gale zindagi padi hui hai
nigaah mujh pe karega zaroor dasht-e-junoon
zara si khaak mere sar mein bhi padi hui hai
jo baat ho na saki us ki baat ki jaaye
vo baat jo ki abhi an-kahi padi hui hai
main is liye bhi nahin kholta vo almaari
purane kapdon mein deewaangi padi hui hai
वहीं पे ग़म है जहाँ पर ख़ुशी पड़ी हुई है
और उन के बीच में भी दुश्मनी पड़ी हुई है
निमट लूँ उस से तो सोचूँगा अपने बारे में
अभी तो मेरे गले ज़िंदगी पड़ी हुई है
निगाह मुझ पे करेगा ज़रूर दश्त-ए-जुनूँ
ज़रा सी ख़ाक मिरे सर में भी पड़ी हुई है
जो बात हो न सकी उस की बात की जाए
वो बात जो कि अभी अन-कही पड़ी हुई है
मैं इस लिए भी नहीं खोलता वो अलमारी
पुराने कपड़ों में दीवानगी पड़ी हुई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Haidar
our suggestion based on Ejaz Haidar
As you were reading Baaten Shayari Shayari