jo behr-e-ehtiyaat mein paali nahin gai | जो बहर-ए-एहतियात में पाली नहीं गई

  - Ejaz Manpuri

jo behr-e-ehtiyaat mein paali nahin gai
us zindagi ki naav sambhaali nahin gai

saahil se dekhte rahe sab doobte hue
lekin bhanwar se naav nikaali nahin gai

un ke har ik ishaare pe sar ko jhuka diya
mujh se badon ki baat bhi taali nahin gai

purkhon se apna taur hai dastaar baandhna
pagdi kisi ki ham se uchaali nahin gai

ghunghat shab-e-uroos uthaane ki der thi
phir chaadar-e-hijaab sambhaali nahin gai

जो बहर-ए-एहतियात में पाली नहीं गई
उस ज़िंदगी की नाव सँभाली नहीं गई

साहिल से देखते रहे सब डूबते हुए
लेकिन भँवर से नाव निकाली नहीं गई

उन के हर इक इशारे पे सर को झुका दिया
मुझ से बड़ों की बात भी टाली नहीं गई

पुरखों से अपना तौर है दस्तार बाँधना
पगड़ी किसी की हम से उछाली नहीं गई

घुँघट शब-ए-उरूस उठाने की देर थी
फिर चादर-ए-हिजाब सँभाली नहीं गई

  - Ejaz Manpuri

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Manpuri

As you were reading Shayari by Ejaz Manpuri

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Manpuri

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari